Kya likhu... Ki wo pariyo ka rup hoti he...
yaa kadakti thand me suhani dhup hoti he...
wo hoti he udasi me har marj ki dawa ki tarah..
yaa umas me shital hawa ki tarah..
wo chidiyo ki chahchahat he yaa koi nishchal khilkhilahat he..
wo aangan me feila ujala he yaa mere gusse pe laga tala he..
wo pahad ki choti pe suraj ki kiran he..
wo jindagi sahi jine ka aachran he..
he wo taqat jo chote se ghar ko mahal kar de..
wo kafiya jo kisi ghajal ko mukamaal kar de..
kya likhu...
wo akshar jo na ho to varnmala adhuri he..
wo jo sabse jyada jaruri he..
ye nahi kahunga ki wo har waqt saans saans hoti he..
kyoki betiya to sirf ahsaas hoti he..
wo mujse austrilia me chuttiya..
mercidise ki drive, five star me khane ya naye ipod's nahi mangti..
na ki wo paise apne piggy bank me udelna chahti he..
wo bas kuch der mere saath khelna chahti he..
woo baas kuch der mere saath khelna chahti hee..
"or aakhri panktiya yahi ki beta bahut jaruri kaam he..
job pe jana jaruri he, kamana bahut jaruri he..
nahi karunga to kaise chalega jaise majburi bhare duniya daari k jawab dene lagta hu.. "
or wo jutha hi sahi jaise muje ahsaas karati he..
Jaise sab samajti he..
lekin aakhen band karke roti he..
sapne me khelte hue mere saath soti he..
jindagi na jane kyo itni ulat jaati he..
or hum samajte he ki betiya sab samajti he..
or hum samajte he ki betiya sab samajti he..
Very heart touching.
ReplyDelete