Skip to main content

Posts

Showing posts with the label Ghar

Log kehte hein

Log kehte hein sayaana ho gaya he, ab bachhaa nahi he, Kuch bhi kahe ye zamana, magar sab kuchh sachha nahi he, Kyonki tuujhse bichadh kar ‘maa’, teraa beta achhaa nahi he. Pesaa kamaane tujhe chhod mein pardesh aaya, Teri duaaon se jitnaa maanga, use jyada paya, Lagaata rahaa hisaab, gintaa raha bas kya kamaaya, Kabhi sochaa nahi ki mein kya ganwayaa, Tootne ko he daali se bas, kyonki pak gaya aam ab kachha nahi he, Kyonki tuujhs...... Ek jheel si gehri aankhon waali ka pyar mila, Thoda bahut nahi, beshumaar mila, Hasrat rahi unki apni bahu ko gale lagaane ki, Lekin mere maa-baap ko to bas intezaar mila, Ho sake to maaf kar denaa,kyoki swaarthi he tera beta par swechha nahi he, Kyonki tuujhs.... Geeton me dooba rehne wala ab gungunaata nahi he, Hansne ki baat par bhi ab muskurata nahi he, Meri shararaton ki dekar sazaa tu ro padti thi, Lekin tera beta ab kisi ko rulaata nahi he.... or log hamesha kahte he ki tera beta jane k baad sayana ho gaya.... :'( pain for loosing someone ...

Kya likhu..... Ki wo pariyo ka rup hoti he..

Kya likhu... Ki wo pariyo ka rup hoti he... yaa kadakti thand me suhani dhup hoti he... wo hoti he udasi me har marj ki dawa ki tarah.. yaa umas me shital hawa ki tarah.. wo chidiyo ki chahchahat he yaa koi nishchal khilkhilahat he.. wo aangan me feila ujala he yaa mere gusse pe laga tala he.. wo pahad ki choti pe suraj ki kiran he.. wo jindagi sahi jine ka aachran he.. he wo taqat jo chote se ghar ko mahal kar de.. wo kafiya jo kisi ghajal ko mukamaal kar de.. kya likhu... wo akshar jo na ho to varnmala adhuri he.. wo jo sabse jyada jaruri he.. ye nahi kahunga ki wo har waqt saans saans hoti he.. kyoki betiya to sirf ahsaas hoti he.. wo mujse austrilia me chuttiya.. mercidise ki drive, five star me khane ya naye ipod's nahi mangti.. na ki wo paise apne piggy bank me udelna chahti he.. wo bas kuch der mere saath khelna chahti he.. woo baas kuch der mere saath khelna chahti hee.. "or aakhri panktiya yahi ki beta bahut jaruri kaam he.. ...