Babul pyare sajan sakha re Suno meri maiyya Boje nahi main kisi ke sar ka Naa majdhar mein naiyya Patwar banoongi, leharon se ladungi Arey mujhe kya bechega rupaiya Ho arey mujhe kya bechega rupaiya Kal baba ki ungli thaame chali thi Kal baba ki lathi bhi bann jaaungi Amma tere gharonde ki chidiya hoon Dana lekar hi ghar wapas aaungi Jiski fitrat samaayi nahi Jisko daulat se jyada main bhaayi naa Aise saajan ki mujhko zaroorat nahi Naa kehne ka sunlo muhurat yahi Akeli chalungi, Kismat se milungi Arey mujhe kya bechega rupaiya Ho arey mujhe kya bechega rupaiya Ho... ho.... ho.. Dil se dil ke taar toh jude nahi Do rasmon pe daulat ye kaa hai baaher Hum toh pyaar ki khwahish mein rishte bune Do rishton mein lalach hum kaahe sahe Kya shaadi ke aage zindagi hi nahi Jo shaadi hisaabo ki keval hai Aise saajan ki mujhko zaroorat nahi Naa kehne ka sunlo muhurat yahi Subahon si khilungi, Ratiya si bharungi Arey mujhe kya bechega rupaiya Ho arey mujhe kya bechega rupaiya Ho.. ho.. ho....
Website Developer & Designer CEO